Dajjal Found In India | dajjal kab aayega | Urdu News



Connect Us VIA YouTube
https://youtu.be/addme/BTof-yuYYqggLC... Gay's Do Like and share and also subscribe my channel because this time I will need YOUR HELP For more video please SUBSCRIBE and also click Bell icon for notification ⓈⓊⒷⓈⒸⓇⒾⒷⒺ ⓃⓄⓌ Visit Now ✌(◉-◉)✌ Website www.Sherstudio.blogspot.com Subscribe Here http://bit.ly/sher_studio Follow On Google + http://bit.ly/G_SherStudio ===================================================
Read Full Article
Dajjal ka Fitna Kaisa hoga? Herat Angez Maloomat Janiye Dajjal maseeh kazzab ka naam hai. Os ki ek aankh hogi woh kaana hoga aur os ki peshani par ک،ا،ف،ر ( Yani kafir ) likha hoga. Har musalman os ko parhay ga, kafir ko nazar nah aaye ga. Woh 40 din mein tamam zameen mein phire ga. Magar Makkah shareef aur Madina shareef mein dakhil nah ho sakay ga. Un 40 din mein pehla din aik saal ke barabar hoga, doosra ek maheena ke barabar, teesra aik hafta ke barabar aur baqi din mamool ke dinon ke barabar hon ge. Khudai ka Dawa Wo khudai ka dawa karega aur uske sath aik baagh aur aik aag hogi, jis ka naam woh jannat o dozakh rakhay ga. Jo os par imaan laaye ga os ko woh apni jannat mein daaley ga, jo haqeeqat mein aag hogi. Aur Jo os ka inkaar karega os ko apni jahannum mein dakhil karega jo waqay mein aasayish ki jagah hogi. Bohat se ajayeb dekhaye ga. Zameen se sabza ugaye ga. Aasman se meen barsaye ga. Murday zinda karega. Aik Momin e Saleh Aik momin Saleh is taraf mutwajjah hon ge aur un se dajjal ke sipahi kahin ge kya tum hamaray rab par imaan nahi laate? woh kahin ge. Mery Rab ke dalail chupay hue nahi hain. Phir woh un ko pakar kar Dajjal ke paas le jayenge. Yeh os ko dekh kar farmaen ge ae logo yeh wohi Dajjal hai jis ka Rasool Kareem ﷺ ny zikar farmaya hai. Dajjal ke hukum se un ko zadokob kiya jayega. Phir Dajjal kahe ga kya tum mere oupar imaan nahi laate? Woh farmayenge to maseeh e kazzab hai. Dajjal ka Rade Amal Dajjal ke hukum se un ka jasim mubarak sir se paon tak cheer ke do hisy kar diya jayega aur un dono hisson ke darmiyan Dajjal chalay ga. Phir kahe ga uth! to woh tandrost ho kar uth kharray hon ge. Tab wo un se kahe ga tum mujh par imaan laate ho? Woh farmayenge meri baseerat aur ziyada ho gayi. Ay logo! yeh dajjal ab mere baad kisi ke sath phir aisa nahi kar sakta. Phir wo inhen pakar kar zibah karna chahay ga aur is par Qadir nah ho sakay ga. Phir un ke dast o paa se pakar kar apni jahannum mein daaley ga. Log guman karen ge ke un ko aag mein dala. Magar dar haqeeqat woh asayish ki jagah hon ge . (Kitab ul Aqaid, Page 28)

No comments

How may i can help You

Powered by Blogger.